Buray Halaat Se Nijat Ka Wazifa

Buray Halaat Se Nijat Ka Wazifa ,” Nazireen agar aap ki mali halat kisi sabab se kamzor ho gai ho ya aap jadu ki lapait mein aakar tabahi ke dahane par pohanch chuke ho ya rizq ki bandish ki waja se aap qarz mein dube hue ho ya faqa kashi par majboor ho, algharz koi bhi waja ho, no chandi jumerat se Surah Quraish 110 bar 41 days tak parhein phir is ke baad 72 bar ka mamool rakhein, Insha Allah is amal ki barkat se buray se buray halaat se aap ko nijat mil jayegi or is amal ke nihayat aala or tez rafta results dekhengay yani is amal ka asar bohat jald nazar aaye ga, Insha Allah.

Mohtaram viewers Aksar ye hota he k wazifa amaliyat Me kamyabi nahi milti   Wazaif or Amaliyat parhne  me kuchh zaruri baton ka khayal zarur rakhe is se  aap k amal or wazaif me jald hi kamyabi milegi inshaallah
1)Sab se pehle Namazo ki pabandi zarur kare is se behad faida hasil hoga or is se bara koi wazifa yaa is se behtar koi bhi amal meri nazar se nahi guzra
2)jis Aayate qurani ya allah k naam ya ki kisi or arbi ka wird diya ho use sahi talaffuz k saath parhe
3)Wuzu k saath parhe to behtar he.
4)jis amal ya wazaif ko jitni martaba diya gaya utni martaba hi parhe kam zyada na hone paya.
5)Agar kisi waqt ko muqarrar kiya he to usi waqt me parhe.

6)amaliyat ow wazaif ka istamal jaaiz kaam k liye hi kare warna nuqsaan bhi ho sakta he

Leave a comment