Aulad Ki Tarbiyat Ka Wazifa

Aulad Ki Tarbiyat Ka Wazifa ,” Agar aap sahabe aulad hein or chahte hein ki aap ki aulad na farman na ho to awal aakhir 11, 11 martaba  Durood Shareef parh kar “Ya Barru” is ka wird 100 martaba karein. Is Wazifa ko hasbe zaroorat 11 din, 40 days ya is se zaid arse ke liye jari rakh sake hein. Is Wazifa ki barkat se aulad na farman nahi hogi or nafarman aulad bhi farmanbardar, naik or sualeh hojati hai. Jo shakhs bacha paida hone ke baad 7 martaba is ism ko parh kar dam kare or Allah ke supard kar de to wo balughat tak tamam aafato se mehfooz rahe ga.

Mohtaram viewers Aksar ye hota he k wazifa amaliyat Me kamyabi nahi milti   Wazaif or Amaliyat parhne  me kuchh zaruri baton ka khayal zarur rakhe is se  aap k amal or wazaif me jald hi kamyabi milegi inshaallah
1)Sab se pehle Namazo ki pabandi zarur kare is se behad faida hasil hoga or is se bara koi wazifa yaa is se behtar koi bhi amal meri nazar se nahi guzra
2)jis Aayate qurani ya allah k naam ya ki kisi or arbi ka wird diya ho use sahi talaffuz k saath parhe
3)Wuzu k saath parhe to behtar he.
4)jis amal ya wazaif ko jitni martaba diya gaya utni martaba hi parhe kam zyada na hone paya.
5)Agar kisi waqt ko muqarrar kiya he to usi waqt me parhe.

6)amaliyat ow wazaif ka istamal jaaiz kaam k liye hi kare warna nuqsaan bhi ho sakta he

Leave a comment