Ya Jabbaru Wazifa Ya Jabbaru Benefits Fazilat Fawaid

Ya Jabbaru Wazifa Ya Jabbaru Benefits Fazilat Fawaid ,” Allah Jabbar Hai Yani Apni Marzi Se Jo Chahe Kar De Aur Iske Samne Koi Dusra Dam Na Maray Aur Har Koi Iska Hukum Mannay Par Majboor Ho Kyunki Kaynat Ki Koi Cheez Bhi Iske Kabza Qudrat Aur Ikhtyar Se Bahar Nahi Auar Iski Bargah Me Har Cheez Mehkoom Aur Majboor Hai.Isliye Allah Ko Jabbar Kaha Jata Hai Kyunki Har Kisi Ke Liye Iski Itba Zaruri Hai. Aur Iska Hukm Har Ek Par Zabardasti Se Jari Hai Amleen Ke Nazdeek Is Ism Ke Zariye Allah Tala Apni Shan E Jabbar Ka Izhar Karta Hai.Yeh Ism Jalali Hai.Iske Adad 206 Hai.Isay Parhnay Se Tabiyat Main Jalal Paida Hota Hai Aur Dusron Par Zabardast Iqtidar Paida Hota Hai.Matehat Log Iski Marzi Ke Khilaf Koi Qadam Nahi Utha Saktay Iski Itba  karnay Par Majboor Hote Hai.

Mohtaram viewers Aksar ye hota he k wazifa amaliyat Me kamyabi nahi milti   Wazaif or Amaliyat parhne  me kuchh zaruri baton ka khayal zarur rakhe is se  aap k amal or wazaif me jald hi kamyabi milegi inshaallah
1)Sab se pehle Namazo ki pabandi zarur kare is se behad faida hasil hoga or is se bara koi wazifa yaa is se behtar koi bhi amal meri nazar se nahi guzra
2)jis Aayate qurani ya allah k naam ya ki kisi or arbi ka wird diya ho use sahi talaffuz k saath parhe
3)Wuzu k saath parhe to behtar he.
4)jis amal ya wazaif ko jitni martaba diya gaya utni martaba hi parhe kam zyada na hone paya.
5)Agar kisi waqt ko muqarrar kiya he to usi waqt me parhe.

6)amaliyat ow wazaif ka istamal jaaiz kaam k liye hi kare warna nuqsaan bhi ho sakta he

 

Ya Jabbaru Wazifa Ya Jabbaru Benefits Fazilat Fawaid
Ya Jabbaru Wazifa Ya Jabbaru Benefits Fazilat Fawaid

Leave a comment